Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_efbc6f79e63e7373e42af677196cb472, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain - Zaka Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain

kitni tabiron ke munh utre paDe hain

KHwab ab tak hath phailae khaDe hain

rah mein jo mil ke patthar gaDe hain

rahnumaon ki tarah shashdar khaDe hain

koi apne aap tak pahunche to kaise

aagahi ke kos bhi kitne kaDe hain

zindagi hum tujh se bhi laD kar jiyenge

hum jo KHud apne hi sae se laDe hain

dosto sar par bhi aa jata hai suraj

dhup kam hai is liye sae baDe hain

hum ko bhi kuchh waqt de ai jaan-e-mahfil

hum ne bhi do ek afsane gaDhe hain

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain In English By Famous Poet Zaka Siddiqui. Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain is written by Zaka Siddiqui. Read famous Poem Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain for youth and Student by Zaka Siddiqui. Free Download Kitni Tabiron Ke Munh Utre PaDe Hain in PDF.