Us Pe Karna Mere Nalon Ne Asar ChhoD Diya
us pe karna mere nalon ne asar chhoD diya
mujh ko ek lutf ki kar ke jo nazar chhoD diya
saunp kar KHana-e-dil gham ko kidhar jate ho
phir na paoge agar us ne ye ghar chhoD diya
ashk-e-sozan ne jalae mere lakhon daman
ponchhna main ne to ab dida-e-tar chhoD diya
baKHiya-gar jal gaya kya hath tera sozish se
karte karte jo rafu chaak-e-jigar chhoD diya
gulshan-e-dahr mein KHami ne bachaya hum ko
dekh kar KHam kudurat ne samar chhoD diya
le gae samne hakim ke mere qatil ko
is ko us ne bhi samajh KHun-e-pidar chhoD diya
nek o bad kuchh nazar aata nahin wo wahshat hai
parda ghaflat ka mere pesh-e-nazar chhoD diya
kucha-e-zulf ko katra ke gaya dil ruKH par
us ne wo rasta-e-pur-KHauf-o-KHatar chhoD diya
ai falak KHana-KHarabi ki hai parwa kis ko
dasht mein rahte hain muddat hui ghar chhoD diya
mujh pe ehsan saba ka hai ki kuche mein tere
KHak ko meri sar-e-rahguzar chhoD diya
mujh ko ai aah tajjub hai ki kashana-e-ghair
kal shab-e-hijr ne barsa ke sharar chhoD diya
bhar gaya dil mera ek chiz ko khate khate
KHun-e-dil khaenge ab KHun-e-jigar chhoD diya
bojh se aap hi mar jaega kyun ho badnam
ye samajh kar but-e-saffak ne sar chhoD diya
nahin tir-e-nigah-e-yar se bachna mumkin
kal hai maujud wo din aaj agar chhoD diya
aa gaya dil mein jo aalam ka musaKHKHar karna
zulf ko chehre pe hangam-e-sahar chhoD diya
ye nahin hai rah-e-but-KHana kidhar jaana hai
aaj se hum ne tera sath KHizar chhoD diya
kar diya tiron se chhalni mujhe sara lekin
KHun hone ke liye us ne jigar chhoD diya
sath dekha tha use kal to tere ai majnun
aaj us 'arif'-e-wahshi ko kidhar chhoD diya
(1899) Peoples Rate This