Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_96428c03777350fd496d2d338ad0b412, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak - Zain-ul-Abideen Khan Arif Poetry In English - Darsaal

Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak

qail bhala hon nama-bari mein saba ke KHak

phirti hai wo bhi galiyon mein aksar uDa ke KHak

kahta hun soz-e-dil se ki kar chuk jala ke KHak

ek baat par jo yar ne jaani uTha ke KHak

kya kanpta hai nala-e-sozan se ai falak

jab baat thi ki mujh ko kiya ho jala ke KHak

pani nikal ke dasht mein jari hai ja-ba-ja

ya-rab gaya hai kaun ye sar par uDa ke KHak

daman uTha uTha ke jo bachta hua chala

kyun howen mar ke kuche mein is bewafa ke KHak

rizwan abir-e-KHuld se badlun na zinhaar

KHushbu hai kuche mein wo mere mah-laqa ke KHak

'arif' ko yaro hum to samajhte the ahl-e-din

dariya mein log aae hain us ki baha ke KHak

(1007) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Qail Bhala Hon Nama-bari Mein Saba Ke KHak in PDF.