Na-tawani Mein Palak Ko Bhi Hilaya Na Gaya
na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya
dekh ke un ko ishaare se bulaya na gaya
saKHt-tar sang se bhi dil hai unhon ka shayad
naqsh jis par kisi unwan biThaya na gaya
gulshan-e-KHuld mein har-chand ki dil bahlaya
kucha-e-yar magar dil se bhulaya na gaya
shikan-e-zulf se dil saf nazar aata hai
is andhere mein tajjub hai chhupaya na gaya
dekh kar kal wo mera haal-e-pareshan 'arif'
aisa ghabrae ki aankhon ko churaya na gaya
(1003) Peoples Rate This