Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4072be7336d152d66ca905349c9bdc5f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera - Zain-ul-Abideen Khan Arif Poetry In English - Darsaal

Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera

na parda kholiyo ai ishq gham mein tu mera

kahin na samne un ke ho zard ru mera

tum apni zulf se puchho meri pareshani

ki haal us ko hai malum hu-ba-hu mera

agarche lakh rafu-gar ne dil kiya behtar

ye jab bhi ho na saka zaKHm-e-dil rafu mera

faqat wo is liye aate hain jaanib-e-zindan

ki phans ke ghuTne lage tauq mein gulu mera

nishana tir-e-nigah ka ba-dil karun 'arif'

laDae aankh agar mujh se jang-ju mera

(1087) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera in PDF.