Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4ef2795424fcf16f9f676a1252529cb2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna - Zain-ul-Abideen Khan Arif Poetry In English - Darsaal

Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna

kyun aaine mein dekha tu ne jamal apna

dekha to KHair dekha par dil sambhaal apna

us ka ho jab tasawwur kab ho KHayal apna

kaisi musibat apni kaisa KHayal apna

khoya gham-e-rifaqat dekho kamal apna

bahka diya hai sab ko dikhla ke haal apna

bin dekhe teri surat jina wabaal apna

bin aae tere zalim marna muhaal apna

KHirman to dekh lete bijli bala se girti

hota tha khet 'arif' yun paemal apna

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Kyun Aaine Mein Dekha Tu Ne Jamal Apna in PDF.