Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a17b4f78c5971b663cbf0ec4dec51c85, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale - Zain-ul-Abideen Khan Arif Poetry In English - Darsaal

Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale

jahan se dosh-e-azizan pe bar ho ke chale

ye su-e-mulk-e-adam sharmsar ho ke chale

hamare dekhne ko KHush abhi se hain aada

zara na dekh sake ashk-bar ho ke chale

pahunch hi jaoge mai-KHane mein KHizar tum bhi

hamare sath jo yaron ke yar ho ke chale

tumhaari rah ka raha hum ko har taraf dhoka

chale jidhar ko so be-iKHtiyar ho ke chale

sana-nigar ye hai kis ke KHalq ka 'arif'

qalam waraq pe na kyun ashk-bar ho ke chale

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale In English By Famous Poet Zain-ul-Abideen Khan Arif. Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale is written by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Read famous Poem Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale for youth and Student by Zain-ul-Abideen Khan Arif. Free Download Jahan Se Dosh-e-azizan Pe Bar Ho Ke Chale in PDF.