Hum Ko Us ShoKH Ne Kal Dar Talak Aane Na Diya
hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya
dar-o-diwar ko bhi haal sunane na diya
parda-e-chashm mein har dam to chhupae aansu
be-qarari ne mujhe raaz chhupane na diya
mujh ko aaluda rakha is meri gumrahi ne
araq-e-sharm-e-gunah bhi to bahane na diya
tere kahne se main ab laun kahan se naseh
sabr jab is dil-e-muztar ko KHuda ne na diya
mana hai bas ki KHur-o-KHwab hamein gham mein tere
mar ke sone na diya zahr bhi khane na diya
hun sitamgar main jafaon se teri sharminda
na-tawani ne mujhe sar bhi uThane na diya
dam ka aana to baDi baat hai lab par 'arif'
zoaf ne harf-e-shikayat kabhi aane na diya
(1057) Peoples Rate This