KHak Par Hi Mere Aansu Hain Na Daman Mein Kahin
KHak par hi mere aansu hain na daman mein kahin
jo teri rah mein khoya gaya paya na gaya
sabab-e-KHanda-e-gul gul ko nahin KHud malum
is tarah koi bhi diwana banaya na gaya
muKHtalif naghme se hai qalb-e-mughanni ka raaz
jo lab-e-saz pe bhi bazm mein laya na gaya
rakh diya KHalq ne nam us ka qayamat ai 'zeb'
koi fitna jo zamane se uThaya na gaya
(988) Peoples Rate This