Niyaz-o-naz Ke Saghar Khanak Jaen To Achchha Hai
niyaz-o-naz ke saghar khanak jaen to achchha hai
tere mai-kash tere dar par bhaTak jaen to achchha hai
sharare soz-e-paiham ke bhaDak jaen to achchha hai
mohabbat ki hasin rahen chamak jaen to achchha hai
sharab-e-shauq ke saghar chhalak jaen to achchha hai
fazaen baada-KHane ki mahak jaen to achchha hai
tere hansne se kaliyon ke hasin rang-e-tabassum mein
ye qatre KHun-e-arman ke chhiTak jaen to achchha hai
numayan hain sar-e-mizhgan jo mayusi ke aalam mein
wo aansu tere daman par Tapak jaen to achchha hai
sar-e-bazm-e-mohabbat kash un aankhon ke darpan mein
mohabbat ke hasin manzar chamak jaen to achchha hai
sar-e-mai-KHana saqi aaj izn-e-am ho jae
tere mai-nosh pi pi kar bahak jaen to achchha hai
mohabbat mein mere betab dil ki dhaDkanen hamdam
teri aaghosh mein aa kar jo thak jaen to achchha hai
mazaq-e-baada-noshi tishna-e-ehsas hai saqi
nae andaz se saghar khanak jaen to achchha hai
mohabbat mein nahin mumkin pahunchna hadd-e-manzil tak
musafir teri rahon mein bhaTak jaen to achchha hai
numayan hon na aankhon se kahin ismat mohabbat ki
ye shoale dil ke dil hi mein dahak jaen to achchha hai
jo hain murjhai kaliyan 'zeb' daman-e-gulistan mein
hawa ke ruKH badalne se mahak jaen to achchha hai
(1044) Peoples Rate This