Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain
kuchh aise haal-o-mazi tere afsane bhi hote hain
jo har mahaul-e-mustaqbil ko dohrane bhi hote hain
jo ehsas-e-jawani ki hasin KHalwat mein palte hain
wo jalwe manzar-e-jazbaat par lane bhi hote hain
KHamoshi dastan hai ismat-e-unwan-e-hasti ki
KHamoshi mein nihan ismat ke afsane bhi hote hain
harim-e-dil mein tujh ko kawish-e-gham hum bhi puchhenge
tasawwur mein tere aksar sanam-KHane bhi hote hain
kabhi tufan mein ruKH maujen badal deti hain jab apna
safine sahilon par la ke Takrane bhi hote hain
aqidat shart hai ai 'zeb' jazbaat-e-aqidat ki
haram ki rah mein tamir but-KHane bhi hote hain
(1093) Peoples Rate This