Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_12eb65a83b7c206b8218f1f18f6e4720, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar - Zahraa Qarar Poetry In English - Darsaal

Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar

rakhi na gai dil mein koi baat chhupa kar

diwar se Thahra tha koi kan laga kar

tu KHwab hai ya koi haqiqat nahin malum

karti hun main tasdiq abhi batti jala kar

mail thi main KHud us ki taraf kya pata us ko

wo mujh se muKHatab hua rumal gira kar

milne ke liye kaisi jagah DhunDh li tum ne

main chhu bhi nahin sakti tumhein hath baDha kar

guzri kisi ki raat gham-e-hijr mein rote

kamra kisi ne rakkha tha phulon se saja kar

phir koi naya kaam nikal aaya tha kam-baKHt

baiThi bhi nahin thi main abhi khana bana kar

beTe ne kaha man mujhe matlab bhi batao

uThne hi lagi thi use quran paDha kar

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar In English By Famous Poet Zahraa Qarar. Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar is written by Zahraa Qarar. Read famous Poem Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar for youth and Student by Zahraa Qarar. Free Download Rakhi Na Gai Dil Mein Koi Baat Chhupa Kar in PDF.