Haqiqaton Ko Fasana Nahin Banati Main
haqiqaton ko fasana nahin banati main
diye jala ke nadi mein nahin bahati main
wo faKHta ki alamat agar samajh jata
to us ke samne talwar kyun uThati main
janab waqai main ne kahin nahin jaana
wagarna aap ki gaDi mein baiTh jati main
phir ek dam mere pairon mein gir gae kuchh log
qarib tha ki koi faisla sunati main
KHuda ka shukr ki wo raste se lauT gaya
agar wo aata to us ko kahan biThati main
kisi KHayal mein hathon se chhuT jate hain
ye jaan bujh ke bartan nahin giraati main
wo dil ho ya meri guDiya ki maut ho jo ho
hamesha sog mein chulha nahin jalati main
main manti hun mera faisla ghalat nikla
tumhin batao ki pahle kise bachati main
mera badan kisi titli se kam nahin zahra
tu mar na jati agar tere hath aati main
(1305) Peoples Rate This