Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi

chand ki bebasi ko samjhungi

raushni ki kami ko samjhungi

ek patthar se dosti kar ke

aap ki be-ruKHi ko samjhungi

main charaghon ko taq par rakh kar

hasil-e-zindagi ko samjhungi

is badan ka tilism TuTe to

phul ki tazgi ko samjhungi

log kahte hain jab mujhe behis

main bhala kyun kisi ko samjhungi

phone par baat hogi fursat se

aur ek ajnabi ko samjhungi

mujh se ummid mat lagao tum

main nahin jo sabhi ko samjhungi

ja ke dariya kinare baiThungi

shor mein KHamushi ko samjhungi

main suhulat-pasand hun 'zahra'

aapsi dushmani ko samjhungi

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi In English By Famous Poet Zahraa Qarar. Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi is written by Zahraa Qarar. Read famous Poem Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi for youth and Student by Zahraa Qarar. Free Download Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi in PDF.