Chand Ki Bebasi Ko Samjhungi
chand ki bebasi ko samjhungi
raushni ki kami ko samjhungi
ek patthar se dosti kar ke
aap ki be-ruKHi ko samjhungi
main charaghon ko taq par rakh kar
hasil-e-zindagi ko samjhungi
is badan ka tilism TuTe to
phul ki tazgi ko samjhungi
log kahte hain jab mujhe behis
main bhala kyun kisi ko samjhungi
phone par baat hogi fursat se
aur ek ajnabi ko samjhungi
mujh se ummid mat lagao tum
main nahin jo sabhi ko samjhungi
ja ke dariya kinare baiThungi
shor mein KHamushi ko samjhungi
main suhulat-pasand hun 'zehra'
aapsi dushmani ko samjhungi
(1039) Peoples Rate This