Nazar Ko Wusaten De Bijliyon Se Aashna Kar De

nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de

fasana tur ka tajdid ai jazb-e-rasa kar de

miTa de zauq-e-mahwiyyat se KHalwat aur jalwat ko

agar tu kar sake dil ko harim-e-dil-ruba kar de

hijabaat-e-nazar kab tak kahan tak dil ki mahrumi

madad ai shauq nazron ko qayamat-azma kar de

bana hai mai-kada ahl-e-hawas ki bazm ai saqi

tera tark-e-talluq dekhna jaane na kya kar de

ba-majburi ba-aKHir ye mujhe kahna hi paDta hai

bahut pur-fan hui duniya nigahon ko KHafa kar de

tere naghme surur-o-kaif mein ai 'taj' Dhalte hain

hadis-e-husn-o-ulfat ko dilon ka muddaa kar de

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ko Wusaten De Bijliyon Se Aashna Kar De In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Nazar Ko Wusaten De Bijliyon Se Aashna Kar De is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Nazar Ko Wusaten De Bijliyon Se Aashna Kar De for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Nazar Ko Wusaten De Bijliyon Se Aashna Kar De in PDF.