Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_192cc9aa61cf47336ae2d522ab34fd4c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya - Zahiir Ahmad Taaj Poetry In English - Darsaal

Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya

naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya

lakh chhupaya jazb-e-ishq fash ye raaz ho gaya

bazm mein mushtahar hui meri hadis-e-arzu

shola-e-jaan bhaDak uTha naghma-e-saz ho gaya

fash na kar saka koi raaz tere wajud ka

fash mujhe jo kar diya fash ye raaz ho gaya

banda-e-be-nawa baDhe jinn-o-malak se tha ajab

lutf-e-karim ka magar zarra-nawaz ho gaya

mere gunahon se siwa rahmaten hain teri karim

lakh KHataon par bhi tu banda-nawaz ho gaya

farhat-e-bandagi mili tabish-e-zindagi mili

dil se jo ek bar main mahw-e-namaz ho gaya

'taj' niyaz-e-ashiqi raaz-e-numud-e-husn hai

jis pe ye raaz khul gaya KHud hi wo raaz ho gaya

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Naghma Ke Soz Se Ayan Dil Ka Gudaz Ho Gaya in PDF.