Gesu-e-sher-o-adab Ke Pech Suljhata Hun Main
gesu-e-sher-o-adab ke pech suljhata hun main
zulmat-e-shab mein payam-e-subh-e-nau lata hun main
barbat-e-dil ke mere naghme nahin shoale hain ye
garmi-e-ehsas se duniya ko garmata hun main
is jahan-e-ab-o-gil par Dalta hun jab nazar
zindagani ko sarasar kashmakash pata hun main
kyun nahin insan samajhta uns ko rah-e-hayat
shama ki manind is gham mein ghula jata hun main
shoala-e-ulfat madad ai chaara-saz-e-gham madad
sard-mehri se jahan ki bujh ke rah jata hun main
ye kitab-e-zindagi bhi chistan se kam nahin
har waraq mein dastan-dar-dastan pata hun main
qadr-dani ki umiden kam-nigahi ke gile
aadmi ko aadmi se be-KHabar pata hun main
dekhna jud-o-karam un ka KHudai baKHsh den
apna daman dekh kar ai 'taj' sharmata hun main
(1004) Peoples Rate This