Aasuda-e-mahfil Abhi Dam Bhar Na Hua Tha

aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha

wo kaun sa tha war jo mujh par na hua tha

chashm-e-sitam-ijad ki wusat ke muqabil

ye tegh to kya charKH-e-sitamgar na hua tha

palkon hi pe taDpa wo mere soz-e-darun se

jo ashk abhi baDh ke samundar na hua tha

jab tak ki na dekhi thi nigahon ki karamat

main munharif-e-baada-o-saghar na hua tha

jab tak na tha shah-e-rag pe paDa saya-e-abru

main waqif-e-shirini-e-KHanjar na hua tha

kya jaanen nazar aaya hai kya rang-e-mohabbat

itna kabhi muztar dil-e-muztar na hua tha

ai 'taj' ajab josh uTha bahr-e-karam mein

ek harf-e-dua bhi to mukarrar na hua tha

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasuda-e-mahfil Abhi Dam Bhar Na Hua Tha In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Aasuda-e-mahfil Abhi Dam Bhar Na Hua Tha is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Aasuda-e-mahfil Abhi Dam Bhar Na Hua Tha for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Aasuda-e-mahfil Abhi Dam Bhar Na Hua Tha in PDF.