Ilzam Bata Kaun Mere Sar Nahin Aaya
ilzam bata kaun mere sar nahin aaya
hisse mein mere kaun sa patthar nahin aaya
hum jo bhi hue hain baDi mehnat se hue hain
kaam apne kabhi apna muqaddar nahin aaya
kuchh aur nahin bas ye to miTTi ka asar hai
zalim ko kabhi kahna hunar-war nahin aaya
dil ka sabhi darwaza khula rakkha hai main ne
par us ko na aana tha sitamgar nahin aaya
munh moD liya tum ne to ye haal hua hai
wo ghar se gaya aise ki phir ghar nahin aaya
ghazlen to bahut kahte ho lekin miyan 'zahid'
ab tak tumhein banna bhi suKHnawar nahin aaya
(1104) Peoples Rate This