Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ab828930f9f66239c19922ef83d1d89f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin - Zahidul Haque Poetry In English - Darsaal

Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin

ab to ye bhi hone laga hai hum mein un mein baat nahin

duniya wale puchhte hain kya pahle se haalat nahin

ek agar ho ishq ki bazi to phir koi baat nahin

kaun sa aisa khel hai jis mein hum ne khai mat nahin

aankh se aansu ban ke bahen jo aise sab jazbaat nahin

dil ka zaKHm chhupa ke jina sab ke bas ki baat nahin

din to din hai tere bin ab raat ki bhi auqat nahin

tum mil jao aur sab bazi haaren bhi to mat nahin

'zahid' ki ye sari qanaat kya teri saughat nahin

thoDi pi kar ziyaada bahke aisi us ki zat nahin

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin In English By Famous Poet Zahidul Haque. Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin is written by Zahidul Haque. Read famous Poem Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin for youth and Student by Zahidul Haque. Free Download Ab To Ye Bhi Hone Laga Hai Hum Mein Un Mein Baat Nahin in PDF.