Ye KHwabon Ke Sae
ye KHwabon ke sae
meri nind ki shant wadi mein
kis tarah aae
kisi aur duniya ke mauhum paikar
kisi aur jangal ki shaKHon ke sae
pur-asrar jazbon ki barish mein bhige nahae
gurezan kai saaton ko uThae
mere pas aae
magar main baDhi jab bhi
in dhundle KHakon ko muTThi mein bharne
wo ghaeb hue pech khate hue
ek ghani dhund mein
hath mere na aae
magar jab kabhi hath aae
to un be-sada paikaron ne
nihan KHana-e-arzu ke
kai raaz mujh ko batae
kai dagh mujh ko dikhae
ye KHwabon ki basti
ki jis ki pur-asrar rahon mein gum
raat bhar meri hasti
koi us ki gahraiyon ko bhala kaise pae
koi is ke sab raaz kaise batae
(1125) Peoples Rate This