Wo Harf-o-saut-o-sada
wo harf jo faza-e-nil-gun ki wusaton mein qaid tha
wo saut jo jo hisar-e-KHamushi mein jalwa-rez thi
sada jo kohsar ki bulandiyon pe mahw-e-KHwab thi
rida-e-barf se Dhaki
wo lafz jo faza ke nile aanchalon se chhan ke
jazb ho raha tha
reg-zar-e-waqt mein
jo zarra zarra muntashir tha
dhundli dhundli saaton ki gard mein
wo mani-e-gurez-pa
laraz raha tha jo rag-e-hayat mein
wo ramz muntazir ki jo abhi nihan tha
batn-e-kaenat mein
wo harf-o-saut-o-sada
wo lafz muntashir
wo ramz muntashir
wo mani-e-gurez-pa
bas ek jast mein
hisar-e-KHamushi ko toD kar
pighal ke mere dard-o-arzu ki aanch mein
nawa-o-nutq ki saaton mein Dhal gaya
wo aabshaar-e-naghma-o-nawa
ki kohsar-e-sard se gira
ki gunjti guphaon se ubal paDa
wo ju-e-zat
naghma-e-hayat
jo rawan-dawan hai bahr-e-be-karan ki khoj mein
(1224) Peoples Rate This