Maut
ufuq-e-zist se ek aur sitara TuTa
ek kiran aur hui raat ki zulmat mein asir
phir kisi naghma-e-betab ki lai saz se aazad hui
ek tabinda haqiqat ki jo thi raaz hui
sard paiman-e-wafa sard hui aatish-e-shauq
sard jazbaat ka tufan KHamosh
sard tabinda nigahon ke sharar
sard-bar-kaifiyat-e-gham ki sulagti hui aag
jam pur-shor se gir jaane do nakaam tamannaon ki mai
farsh-e-mai-KHana-e-ulfat pe ulaT do saghar
sar-nigun band darichon mein ummidon ke diye gul kar do
dastan soz-o-mohabbat ki adhuri hai
magar
alamiya KHatm hua
dil-shikan aaKHiri manzar pe gira do parde
(1284) Peoples Rate This