Tapish Se Phir Naghma-e-junun Ki Surud-o-chang-o-rabab TuTe
tapish se phir naghma-e-junun ki surud-o-chang-o-rabab TuTe
kisi haqiqat ke ek sang-e-giran se Takra ke KHwab TuTe
hayat ki ju-e-dard-o-gham mein safine ummid-o-arzu ke
ba-shakl-e-mauj-e-nasim ubhre ba-rang-e-jism-e-habab TuTe
suna rahi hain wafa ki rahen shikast-e-parwaz ka fasana
ki dur tak wadi-e-talab mein paDe hain har samt KHwab TuTe
barahna-pa aao tum bhi hamdam bas ab to sahra-e-arzu mein
tamazat-e-reg-e-agahi se tilism-e-mauj-e-sarab TuTe
yahi hai bazm-e-mai-gusaran to shart-e-sad-ehtiyat kyun ho
kisi ke hathon mein jam chhalke kisi ka band-e-naqab TuTe
chaTaKH rahe hain dilon ke saghar magar ye farman-e-chaaragar hai
na koi chashm-e-pur-ab chhalke na koi jam-e-sharab TuTe
(1241) Peoples Rate This