Ho Gae Ambar-fashan Donon-jahan Mere Liye
ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye
muskuraya gulshan-e-kaun-o-makan mere liye
kya hua main ne jo gae naghma-e-dar-o-rasan
tum ne KHud chheD tha saz-e-imtihan mere liye
aankh bhar aai gulon ke chaak daman dekh kar
nashtar-e-gham hai chaman ki dastan mere liye
ye samajh kar apni barbaadi par hansti hun mudam
teri duniya mein nahin shayad aman mere liye
ham-kanar-e-jalwa-e-yazdan hai mera dil 'kamal'
kaif-za hain raat ki tanhaiyan mere liye
(1139) Peoples Rate This