Kisi Manzar Ke Pas-manzar Mein Ja Kar

kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar

chalo dekhen kisi patthar mein ja kar

ghane jangal ne mujh par raaz khola

nikal jata hai har Dar Dar mein ja kar

KHud apni zat ho jati hai madum

KHud apni zat ke jauhar mein ja kar

mere dil ki tamanna ban gaya hai

wo chehra meri chashm-e-tar mein ja kar

simaT jate hain mere sath mujh mein

mere panw meri chadar mein ja kar

tahayyur-KHez thi us ki fasahat

wo jab bhi chup hua mimbar mein ja kar

ye zinda shahr hai to kaise 'zahid'

main mar jata hun apne ghar mein ja kar

(1118) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Manzar Ke Pas-manzar Mein Ja Kar In English By Famous Poet Zahid Shamsi. Kisi Manzar Ke Pas-manzar Mein Ja Kar is written by Zahid Shamsi. Read famous Poem Kisi Manzar Ke Pas-manzar Mein Ja Kar for youth and Student by Zahid Shamsi. Free Download Kisi Manzar Ke Pas-manzar Mein Ja Kar in PDF.