Fasil-e-jism Gira Kar Bikhar Na Jaun Main
fasil-e-jism gira kar bikhar na jaun main
yahi KHayal hai ji mein ki ghar na jaun main
badan ke tapte jahannam mein KHwahishon ka safar
isi safar ke bhanwar mein utar na jaun main
hui tamam masafat is ek KHwahish mein
ki ab wo lakh bulae magar na jaun main
bikher deta hai kuchh aur jab bhi milta hai
use to wahm yahi hai sanwar na jaun main
wo jis ki chah mein dushwar manzilen tai kin
KHamosh us ke nagar se guzar na jaun main
'nawed' us se mera rabt lafz o mani ka
ye rabta na rahe gar to mar na jaun main
(991) Peoples Rate This