Nine Elewen
jab
gard-o-ghubar ka tufan meri jaanib baDhne laga
to mujhe yaad aaya ki
puri duniya mein aankhen ek jaise aansu bahati hain
aag mein ubalti hui haDDiyan
ek jaisi rangat iKHtiyar kar leti hain
lahu
jab jam jata hai
is ke surKH se siyah hone ka dauraniya ek jitna hota hai
gard-o-ghubar ke tufan ne sab kuchh Dhanp liya
magar hiroshima aur naga-saki ke khanDaraat phir se numudar hone lage hain
aur
saraiyo baghdad kabul aur ghazza ki galiyon mein khelne wale bachche
meri taraf dekh kar muskuraate hain
(924) Peoples Rate This