Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_11e5baad1b2f854eb3e9d3d8515d47ea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dar-ul-aman Ke Darwaze Par - Zahid Masood Poetry In English - Darsaal

Dar-ul-aman Ke Darwaze Par

mujhe zalzala-zada ilaqe se uThaya gaya tha

ya shayad

sailab-zada ilaqe se

magar mera koi waris ab is duniya mein baqi nahin hai

meri kam-umri

meri wahid kafil hai

aur

achchhi shakl hi ab meri zindagi ki zamin hai

meri be-libasi

libas se ziyaada qimti aur ba-mani hai

main ne kai bar

adalaton mein peshi ke dauran apne be-asra hone ki

duhai di

magar har bar

mere anguThe par KHamushi ki siyahi laga di gai

mujhe un mardon ke nam yaad nahin

jo

mujhe shahr shahr aur ganw ganw liye phire

magar mujhe

us aurat ki aankhen yaad hain

jis ne mujhe dekh kar aansu bahae the

aur

phir yahan chhoD kar chup-chap chali gai thi!

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-ul-aman Ke Darwaze Par In English By Famous Poet Zahid Masood. Dar-ul-aman Ke Darwaze Par is written by Zahid Masood. Read famous Poem Dar-ul-aman Ke Darwaze Par for youth and Student by Zahid Masood. Free Download Dar-ul-aman Ke Darwaze Par in PDF.