ZaKHmi KHwabon Ki Tisri Duniya
sadar-e-mumlikat ne
apni daulat ko zarb lagai
aur para-e-mulk mein ek qabr kirae par le li
ta-ki us ki lash mahfuz rahe
raushni ne duniya ka safar kiya
magar kisi adalat mein insaf na mila
ki andhe taraazu ne to kabhi aankhen hi nahin kholin
diwaren tamam raat jagti rahin
saman paDa raha
lekin gharon se laDkiyan chura li gain
ek jism ko kai jismon ne chhua
to bichaari ruhon ne apne chehron par qai ki
laDki man to bani biyahi na gai
us ne aansuon se ghusl kiya
magar pak na hui
hamein duniya mein hi dozaKH mili
kyunki hum us laDki ke ghar paida hue
jis ka bap faqe se mar gaya
aur man bewa-KHwabon ki ghuTan se
us raat chand ko qatl kar diya gaya
aur hum bhaiyon ne
viran saDak par KHud-kushi kar li
(1187) Peoples Rate This