Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_o77tt9dvm2od38sgpsu23s7n56, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Ja Chuki Ho - Zahid Imroz Poetry In English - Darsaal

Tum Ja Chuki Ho

mera dil der tak soe hue munh ki bas tha

jahan tum KHud-raw phul ban kar khil uThi thin

tumhaara munawwar wajud

meri tarik ruh mein sarma ki dhup bana

tumhaari aankhon ki nami se kai bahaaron ne KHumar piya

juton se giri miTTi se bane mere hath

tumhaari tarashida golaiyon se mil kar

jannat ki jhil ban gae

tumhaare sine se phuTti aabshaar ki mausiqi ne

meri zaKHmi samaat ko surila git bana diya

mere banjar taKHayyul mein jahan jahan tumhaare qadam lage

wahan main nai duniya ban kar taKHliq hua

ab tum ja chuki ho

mere aansuon ki nadi

ek Tahni ko bhi shajar nahin kar saki

mere iradon ki shabnam

ek konpal ko bhi phul nahin kar saki

samjhaute ka bheDiya

mere zarre zarre se tumhein noch raha hai

aur udasi Dubte suraj ki aaKHiri kiran ban kar

mere kandhon par andhere ki chadar Dal rahi hai

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ja Chuki Ho In English By Famous Poet Zahid Imroz. Tum Ja Chuki Ho is written by Zahid Imroz. Read famous Poem Tum Ja Chuki Ho for youth and Student by Zahid Imroz. Free Download Tum Ja Chuki Ho in PDF.