Mera Koi Dost Nahin
chiKHen mujhe kabhi riha nahin kartin
mujhe malum hai
har manzar mein ek chiKH chhupi hai
main jahan bhi jata hun
koi na koi chiKH mujhe pahchan leti hai
main apni KHamoshi ki muKHalif samt
KHauf-zada ho kar bhagne lagta hun
isi bokhalahaT mein chiKHon ke kai jhunD
mujhe bhiDon ki tarah gher lete hain
bhagte hue main qabristan mein pahunch jata hun
jahan har qabr mein ek chiKH dafn hai
mujhe dekh kar
chiKHen mere gird hawa mein tairne lagi hain
aur mujh se chiKH ban jaane ka mutalba karti hain
baqa ki jang laDte hue
ab mere hath bazuon se girne wale hain
aur haarne ke liye mera koi dost nahin
main mahsus kar raha hun
mera chiKHon se bandha hua jism
jab gunjne ke qarib hoga
main kisi KHushk dariya ke kinare
surKH rang mein luthDi chiKH bana lunga
aur miTTi meri qabr banane mein masruf hogi
(1314) Peoples Rate This