Kaenati Gard Mein Barsat Ki Ek Sham
waise to pahaD zamin ka sukDa hua libas hain
lekin jab barish hoti hai
un ki silwaTon par ujlahaT ug aati hai
sanp ki dum si saDak par chalte hue
mausam mujhe apni kunDli mein qaid kar leta hai
lahr-dar-lahr munqasim pahaDon ka husn
rangon ki is dhundhlahaT mein poshida hai
jise hamari bimar aankhen kabhi munakis nahin kar patin
barish ke baad
jab dharti apne maile kapDe utarti hai
main har sham, raazon ke taaqub mein
us ke daudi badan par phail jata hun
aur diwaren phalangta, KHuda ke shikasta sahn mein
naqab lagata hun
mere wajud mein ek andha KHala phailne lagta hai
main dekhta hun
aasman mein koi uqab chhapa hai
jo hamari zindagiyon ke chuze uchak raha hai
main un daraKHton se muKHatab hota hun
jin ki jaDon mein chyunTiyan
apni maut par sogwar rahti hain
bhigi shaKHon par sahme kawwe raat bhar kanpte rahte hain
kitni be-rahm lagti hai zindagi!
jahan maut barasti hai
aur lakhon sansen be-waqat aawara kutton ki tarah
mar jati hain
wahan phir muskuraata ghana jangal ug aata hai
is la-mutanahi wusat mein hum sabun par chimTe baal se
zyaada kuchh nahin rahte
waqt jise, eDi par jame mel ki tarah dho Dalta hai
main apni zaif scienci quwwat se mahsus karta hun
sab se azim dukh yahi hai
ki kaenat hamari dastaras mein nahin
is ranjuri safar se be-bas lauTte hue
main juton se miTTi jhaDta hun
aur khiDki se jhankte ujle manzar mein
be-fikri ki chae pine lagta hun
dur pahaDon par, musalsal barish hoti rahti hai
(1483) Peoples Rate This