Qasam Us Badan Ki

qasam us badan ki

aur qasam us badan par khile phulon ki

rut bahaar ki hai aur hawa ki ranon mein mahak khili hai

ab tak

brassiere mein tani un chhatiyon se

parinde apni chonchon mein sher bhar ke late hain

aur mohabbat ki abdiyat ke git gate hain

lai mein jin ki hararat un shabon ki hai

guzrin jo qurbat mein tere badan ki

gahri aankhon wali gham-gusar shaben

batn mein jin ke sadiyan gunjti thin

lekin abdiyat kis ko thi

ma-siwa us lahraati jumbish ke

(jaise tanpure pe ghair iradatan paD gai ho)

aur ta-der dard mein Dubi aawaz

tere badan se ubharti thi

ye dard kya tha?

ki har subh lazzat jis ki labon pe

papDiyon ki manind jami hoti

tere labon pe

mere labon pe

bahaar bahut thi chaar-su baghon mein

aur saDkon ki virani mein

shamen jo istada thin

diwaron ki manind hamare mabain tani rahin

tarik shabon mein jab

sarma ki tez hawaen chalti thin

udasi teri pinDliyon mein sarsaraati thi

tere kanpte badan ki KHushbu

lahariye leti sarshaari mein

yun Dubti ubharti thi

goya!

aur meri ungliyon ki poron mein sulagti thi jo aag

teri chhatiyon ki golaiyon ko mapti

paimaish tere badan ki thi

paimaish zindagi ki

din bit gae!!

aur KHwab hamare apne apne badan kinare

jalte rahe charaghon ki tarah

aur main ki ab tak

yaad ke peDon se mohabbaton ke phul chun chun kar

dil ke tasht mein dharta jaun

teri maujudgi ki talab mein

(1658) Peoples Rate This

Zahid Hasan's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Qasam Us Badan Ki In English By Famous Poet Zahid Hasan. Qasam Us Badan Ki is written by Zahid Hasan. Read famous Poem Qasam Us Badan Ki for youth and Student by Zahid Hasan. Free Download Qasam Us Badan Ki in PDF.