Ghar Se Nikle Der Hui Hai Ghar Ko LauT Chalen

ghar se nikle der hui hai ghar ko lauT chalen

gungi raaten dhup kaDi hai ghar ko lauT chalen

dur se tere mit aae hain tujh se rit nibhane

rauzan par zanjir paDi hai ghar ko lauT chalen

dhime dhime aanchal wali aaj bhi aas lagae

darwaze par aan khaDi hai ghar ko lauT chalen

basti basti charcha jin ka sunte sunte aae

shahr mein aa kar baat khuli hai ghar ko lauT chalen

kal 'chughtai' hum wahshi the aaj bhi hum diwane

kab se apni aas lagi hai ghar ko lauT chalen

(800) Peoples Rate This

Zahid Hasan Chugtai's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Nikle Der Hui Hai Ghar Ko LauT Chalen In English By Famous Poet Zahid Hasan Chugtai. Ghar Se Nikle Der Hui Hai Ghar Ko LauT Chalen is written by Zahid Hasan Chugtai. Read famous Poem Ghar Se Nikle Der Hui Hai Ghar Ko LauT Chalen for youth and Student by Zahid Hasan Chugtai. Free Download Ghar Se Nikle Der Hui Hai Ghar Ko LauT Chalen in PDF.