Sitare Chup Hain Ki Naghma-sara Samundar Hai
sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai
shab-e-KHamosh ke dil ki sada samundar hai
sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho
ki rud-bar ke aage khula samundar hai
wo dekhta hai mere iztirab ko hans kar
main tez-rau hun wo Thahra hua samundar hai
mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko
falak ke samne chehra-numa samundar hai
miTa chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab
hawa saron mein hai aur zer-e-pa samundar hai
nazar mein surat-e-sahil abhi nahin aai
mere safar ka har ek marhala samundar hai
(1020) Peoples Rate This