Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c37e417eac4593a24785b6b486a39d27, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko - Zahid Farani Poetry In English - Darsaal

KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko

KHushk lamhat ke dariya mein baha de mujh ko

marg-e-ehsas ki suli pe chaDha de mujh ko

kaun aa kar tere insaf ka misdaq bane

be-gunahi pe agar tu na saza de mujh ko

ek pal mein ye mera rang uDa dete hain

ras aate nahin KHush-rang libaade mujh ko

yun mujhe dekh ke chehra na chhupa hathon se

main tera jism-e-barahna hun qaba de mujh ko

na mili kucha-o-bazar mein DhunDe se kahin

jo nazar naqsh-ba-diwar bana de mujh ko

tu hayula jo nahin hai to mere samne aa

gumbad-e-dard mein chhup kar na sada de mujh ko

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko In English By Famous Poet Zahid Farani. KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko is written by Zahid Farani. Read famous Poem KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko for youth and Student by Zahid Farani. Free Download KHushk Lamhat Ke Dariya Mein Baha De Mujhko in PDF.