Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0b39c8253107012408d34cdcd0fad306, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah - Zahid Farani Poetry In English - Darsaal

Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah

kai dilon mein paDi is se shor-o-shar ki tarah

tera KHayal hai uDti hui KHabar ki tarah

nahin hai tab-e-nazar kam-ayar aankhon mein

chamak raha hai wo chehra dukan-e-zar ki tarah

haTegi gard-e-mah-o-sal kis ke hathon se

zamana band paDa hai qadim dar ki tarah

KHayal-e-ghair nikalta nahin mere dil se

kisi ke ghar mein ye baiTha hai apne ghar ki tarah

ThiThak gaya main use apne samne pa kar

mujhe laga wo guzargah-e-pur-KHatar ki tarah

sukun ke sath thakan bhi hai us ki yaadon mein

guzishta umr hai bhule hue safar ki tarah

pas-e-ada-e-nazar chhup gai hai tariki

wo be-naqab hua awwalin sahar ki tarah

jo mere samne muddat ke baad aaya tha

guzar gaya hai uchaTti hui nazar ki tarah

Dhale hain in mein meri zindagi ke sham-o-sahar

hain mere sher hikayat-e-muKHtasar ki tarah

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah In English By Famous Poet Zahid Farani. Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah is written by Zahid Farani. Read famous Poem Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Kai Dilon Mein PaDi Is Se Shor-o-shar Ki Tarah in PDF.