Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f913999c7deb461fb8d0e47e62db8663, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main - Zahid Farani Poetry In English - Darsaal

Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main

jahan-e-tang mein tanha hua main

bahut achchha hua ruswa hua main

meri aankhon ka pahchana hua tu

nigah-e-dahr ka dekha hua main

ubhar aai hawa ki mauj sar mein

harif-e-mauja-e-dariya hua main

jabin-e-ab ki tahrir duniya

huruf-e-sang se likkha hua main

fana ke hath mein meri baqa hai

KHud apni KHak se paida hua main

hui wabasta mujh se tursh-rui

ki nashsha hun magar utra hua main

chhupa hun aaj tak us ki nazar se

zamane bhar pe aaina hua main

(913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main In English By Famous Poet Zahid Farani. Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main is written by Zahid Farani. Read famous Poem Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main for youth and Student by Zahid Farani. Free Download Jahan-e-tang Mein Tanha Hua Main in PDF.