Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ba7e7cbdc627456fad7e385a23f05a98, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta - Zahid Fakhri Poetry In English - Darsaal

Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta

mohabbat ke safar mein koi bhi rasta nahin deta

zamin waqif nahin banti falak saya nahin deta

KHushi aur dukh ke mausam sab ke apne apne hote hain

kisi ko apne hisse ka koi lamha nahin deta

na jaane kaun hote hain jo bazu tham lete hain

musibat mein sahaara koi bhi apna nahin deta

udasi jis ke dil mein ho usi ki nind uDti hai

kisi ko apni aankhon se koi sapna nahin deta

uThana KHud hi paDta hai thaka TuTa badan 'faKHri'

ki jab tak sans chalti hai koi kandha nahin deta

(2586) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta In English By Famous Poet Zahid Fakhri. Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta is written by Zahid Fakhri. Read famous Poem Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta for youth and Student by Zahid Fakhri. Free Download Mohabbat Ke Safar Mein Koi Bhi Rasta Nahin Deta in PDF.