Nazm
mere KHayal mein wo aurat
duniya ki laziz-tarin aurat hai
main us ke andar gharq ho jaunga
wo mujhe dur dur se
apna aap dikhati hai
mere andar bhuk aur pyas ko bedar karti hai
aur jab main KHwahish ki aag mein jalne lagta hun
wo itminan se hansne lagti hai
mera ji chahta hai ki main us ko kha jaun
main us ko pure ka pura nigal jaana chahta hun
jab main us ki taraf baDhta hun
wo mujhe DanT kar bhaga deti hai
aur main dard se taDap uThta hun
aur main tanhai mein aa kar rota hun
aur main musalsal rota hi rahta hun
jab us se judai ka dard meri bardasht se bahar ho jata hai
main ek bar phir us ke pas jata hun
aur wo kahti hai: are tum kahan the?
muddat se dikhai nahin diye
aur ek bar phir
us ki adaon ka jadu mujh par chha jata hai
is ke jism ki kashish mujhe madhosh kar deti hai
main pagalon ki tarah use ghurne lagta hun
main apni aankhon se us ko chumta aur chaTta hun
main apni aankhon se us ko khata rahta hun
aur wo KHamoshi se sab kuchh dekhti rahti hai
jab main be-tab ho jata hun
to achanak wo ghusse mein aa jati hai
wo mujh se naraaz ho jati hai
aur main ek dhutkare hue kutte ki tarah
apni tanhai mein wapas aa jata hun
apni bebasi par aansu bahane ke liye
aur main musalsal rota hi rahta hun
mere KHayal mein wo aurat
duniya ki zalim-tarin aurat hai
aur main us aurat se mohabbat karta hun
main us ke andar gharq ho jaunga
(1305) Peoples Rate This