Bimar LaDka
rahm-e-madar se nikalna mera be-sud hua
aaj bhi qaid hun main
hukm-e-madar ko main tabdil karun
man ki nafrat bhari aankhon se kahin dur chala jaun main
be-niyazi se phirun
pap ke kanTe chun kar
ruh napak karun
git shahwat ke hawas ke sun kar
zehn be-bak karun
aise jiwan ki hai hasrat ab tak
pyar sab kahte hain wo pyar mujhe karti hai
pyar ki rakh tale soya paDa hun kab se
jhuT kahte hain main bezar hua hun sab se
phir lapak uTThega wo shoala, pur-ummid hun main
pyar ki rakh tale dab ke hai jo dud hua
(1142) Peoples Rate This