Zulf-e-KHamdar Mein Nur-e-ruKH-e-zeba Dekho
zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho
chashm-e-baddur mera husn-e-tamanna dekho
ab wo aaraish-e-gesu se hua hai farigh
ab agar himmat-e-musa ho to jalwa dekho
bahr-e-didar karo dida-e-majnun paida
jurat-e-shauq se phir jalwa-e-laila dekho
aaj phir shauq-e-dil-e-zar ki qismat jagi
aaj phir us ne mujhe pyar se dekha dekho
nigah-e-lutf se dekha hai to Thahro kuchh der
ab mere dil ke dhaDakne ka tamasha dekho
jo masihai se aari hain unhen kya malum
apne bimar ko tum KHud hi KHudara dekho
KHud chale aao abhi tar-e-nafas hai baqi
ho nahin paega phir dil ka mudawa dekho
aa gaya hai wo yahan nur-e-sahar ki manind
khul gaya jabki mere dil ka daricha dekho
be-sabab zulm ki aandhi na chalao mujh par
yun ujaD jaega gulzar-e-tamanna dekho
tum ko kuchh yaad hai ghar ghar mein mera charcha tha
ab usi shahr mein phirta hun main tanha dekho
jo riya-kar hain un se na baDhao pengen
chashm-e-iKHlas mein ho jaoge ruswa dekho
jis ki binai se ek shahr hua tha raushan
aaj be-nur hai wo dida-e-bina dekho
ye samajh lo ki wo hai ilm-o-hunar ka madfan
jab kisi shahr mein tum ghalba-e-mulla dekho
(1323) Peoples Rate This