Wo Bahr-o-bar Mein Nahin Aur Na Aasman Mein Hai
wo bahr-o-bar mein nahin aur na aasman mein hai
jo raaz-e-zist mere shauq-e-be-karan mein hai
mujhe qarar ba-juz shauq-e-be-qarar nahin
sukun-e-zist mujhe shoKHi-e-butan mein hai
mujhe qubul nahin aisa raaz-e-sar-basta
jo chashm-e-aql se poshida la-makan mein hai
meri hayat faqat justuju-e-paiham hai
mera maqam sitaron ke karwan mein hai
main aasman mein sitaron ki sair karta hun
ye kya surur tere sang-e-astan mein hai
mere wajud mein pinhan hai gauhar-e-yakta
mera wajud nihan bahr-e-be-karan mein hai
chaman mein jabki nasheman bana chuka hun main
ajab tarah ki chamak chashm-e-asman mein hai
mere kalam se aaya hai barg-e-gul pe nikhaar
mere nafas ki mahak sare gulistan mein hai
wo lutf-e-zist jo hai tund-o-tez tufan mein
wo shaKH-e-gul pe nahin aur na aashiyan mein hai
wo soz-o-saz-e-haqiqat se aashna hogi
wo zindagi jo hama-waqt imtihan mein hai
har ek lahza hai ek taza walwala darkar
ajab tarah ka maza bahr-e-be-karan mein hai
wo meri quwwat-e-iman ki ek alamat hai
jo shor-e-hashr bapa bazm-e-dushmanan mein hai
(1369) Peoples Rate This