Mera Wajud Usko Gawara Nahin Raha
mera wajud us ko gawara nahin raha
yun rah-e-zindagi mein sahaara nahin raha
furqat mein us ki sabr-o-tahammul tha ishq mein
wo aa gaya to zabt ka yara nahin raha
har lahza shauq-e-husn mein ye be-qarar hai
ab mera dil ke sath guzara nahin raha
main iztirab-e-ishq mein had se guzar gaya
aisa maraz baDha hai ki chaara nahin raha
mahfil se main uTha to ajab tabsira hua
kahne laga ki ab ye hamara nahin raha
har-chand be-ruKHi mein wo had se guzar gaya
kaise kahun ki wo mujhe pyara nahin raha
soz-e-nihan ki aag bhaDakti hai is qadar
yun lag raha hai ishq ka yara nahin raha
main jal ke rakh ho gaya hun soz-e-ishq se
main zindagi mein misl-e-sharara nahin raha
jab dard-e-dil nahin raha to yun laga mujhe
goya ki zindagi ka sahaara nahin raha
parwaz-e-fikr-e-nau nahin pahunchi jahan talak
aisa falak mein koi sitara nahin raha
jab maut aa gai to nai zindagi mili
ab bahr-e-zindagi ka kinara nahin raha
(1211) Peoples Rate This