Jab Aashiqi Mein Mera Koi Raaz-dan Nahin
jab aashiqi mein mera koi raaz-dan nahin
aisi lagi hai aag ki jis ka dhuan nahin
go main sharik-e-bazm sar-e-asman nahin
wo raaz kaun sa hai jo mujh par ayan nahin
main sochta hun zist mein nakaam ho gaya
mere KHulus-e-shauq ka jab imtihan nahin
mera maqam ishq-e-butan mein hai be-misal
go main rahin-e-minnat-e-pir-e-mughan nahin
wo aashiqi nahin hai koi karobar hai
jis aashiqi mein garmi-e-soz-e-nihan nahin
main soz-o-saz-e-shauq mein had se guzar gaya
ab is safar mein mera koi karwan nahin
meri nawa-e-gham mein hai shamil fughan-e-gul
kaise kahun chaman mein koi ham-zaban nahin
mamur ho gaya hai wo soz-e-hayat se
jo mubtala-e-gardish-e-kaun-o-makan nahin
shauq-e-safar mein walwala-e-dil nahin raha
dushman rah-e-hayat mein jab aasman nahin
(1703) Peoples Rate This