Chaman Mein Sair-e-gul Ko Jab Kabhi Wo Mah-jabin Nikle
chaman mein sair-e-gul ko jab kabhi wo mah-jabin nikle
meri tar-e-rag-e-jaan se sada-e-afrin nikle
samajh jata hun fauran kya hai matlab lan-tarani ka
meri KHwahish pe jab parde se wo parda-nashin nikle
falak ne jab kiya hamla meri shaKH-e-nasheman par
jo dushman samne aae wo apne ham-nashin nikle
wo jin se shahd manga tha unhon ne zahr de Dala
jinhen samjha tha main hamdam wo mar-e-astin nikle
main jab un doston ki be-ruKHi par ghaur karta hun
mere gham-KHana-e-dil se fugan-e-atishin nikle
teri mahfil mein har bahrupiye ka hai maqam uncha
haqiqat mein jo ahl-e-dil hain wo uzlat-guzin nikle
farogh-e-ilm-e-be-qadri ki haalat mein nahin mumkin
KHas-o-KHashak hone ko sadaf se kyun nagin nikle
jinhon ne khet lahrae hain apne KHun pasine se
ajab turfa hai wo mardan-e-mehnat be-zamin nikle
guzare main ne jo lamhat aaghosh-e-tasawwur mein
wo meri zindagi ke roz-o-shab mein behtarin nikle
main apni aabru-mandi mein pa-mardi ka paikar hun
main wo aadam nahin jo chhoD kar KHuld-e-barin nikle
wo mai-noshi mein karte hain imamat but-paraston ki
janab-e-shaiKH mai-KHane mein bhi masnad-nashin nikle
(1216) Peoples Rate This