Asir-e-zat-e-raushni
na lazzaton ka bahr tha na KHwahishon ki wadiyan
na daere azab ke na zawiye sawab ke
bas ek raushni asir-e-zat thi
muhit kaenat thi azal se be-libas thi
to yun hua ki dafatan
mere badan ke pairahan mein chhup gai
to lazzaton ka bahr mauj-zan hua
to KHwahishon ki wadiyan sulag gain
to daere azab ke phisal gae
to zawiye sawab ke machal gae
ajib waqia nahin
mere badan ka pairahan to lazzaton ke tar mein buna gaya
wo KHwahishon ke bahr mein jo mauj mauj bah gaya
to kya hua
ye raaz raaz rah gaya
wo raushni jo qabl-e-irtikab hi
mere badan ke pairahan mein jaguzin thi
sad-irtikab kyun hui nahin
(940) Peoples Rate This