ZaKHm-e-taza Barg-e-gul Mein Muntaqil Hote Gae
zaKHm-e-taza barg-e-gul mein muntaqil hote gae
panja-e-saffak mein KHanjar KHajil hote gae
did ke qabil tha un sahra-nawardon ka junun
manzilen milti gain hum muzmahil hote gae
nur ka rishta sawad-e-jism se kaTta gaya
hum bhi aaKHir baad o aatish aab-o-gil hote gae
KHun mein unche chanaron ke na hiddat aa saki
yun ba-zahir sabz patte mushtail hote gae
dil ke daftar mein tha jazbon ka taqarrur aarzi
han jo un mein mo'tabar the mustaqil hote gae
jaise jaise aagahi baDhti gai waise 'zahir'
zehn o dil ek dusre se munfasil hote gae
(1282) Peoples Rate This